ek umr bhatakte rahe ghar hi nahin aaya sahil ki tamanna thi nazar hi nahin aaya raushan hain jahan sham-e-mohabbat ki qataren wo kunj-e-kam-asar nazar hi nahin aaya main jhut ko sachchai ke paikar mein sajata kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya wo gumbad-e-be-dar tha ki diwar-e-ana thi manzar koi bahar ka nazar hi nahin aaya ek aisa safar bhi mujhe darpesh tha logo kuchh kaam jahan zad-e-safar hi nahin aaya baithe rahe palkon ko bichhae sar-e-rahe wo jaan-e-jahan-gasht idhar hi nahin aaya ek pal ko jahan baitha hun thak kar kabhi 'akhtar' raste mein koi aisa shajar hi nahin aaya