muddaton jo rahe bahaaron mein aaj wo ghir gae hain kanton mein main ki sahra-naward hun lekin parwarish chahta hun phulon mein aks tera dikhai deta hai bahte pani ki naram lahron mein khul gae khwahishon ke darwaze phir bhi koi nahin hai banhon mein jo mahakte hain khushbuon ki tarah lams tera hai un gulabon mein kar-farma dikhai deta hai mera ehsas mere jazbon mein aaj hum se bichhad gaya 'akhtar' tazkira ho raha tha logon mein