shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai visal-e-tishna-tan yaad aa gaya hai ye dasht-e-arzu ki be-panahi ghane sapnon ka ban yaad aa gaya hai mere raste mein chattanen bahut hain mujhe ab kohkan yaad aa gaya hai charagh-e-uryan tan ko bhi bil-akhir hawa ka pairahan yaad aa gaya hai barasti ja rahin be-tahasha in aankhon ko watan yaad aa gaya hai ye kaisa khwab hai aankhon mein 'bushra' ye kya diwana-pan yaad aa gaya hai