bahut sukun se dil mein basa ke le aae hum aaj un ko unhin se chura ke le aae wo war karte rahe muskura ke nazron ka hum apni jaan salamat bacha ke le aae hamein khabar thi ki aaine ki tarah hai wo dil tha pattharon mein magar hum utha ke le aae sawal ye tha ki sabit karo wafadari to hum hatheli pe ye sar saja ke le aae jahan har ek taraf kufr kufr phaila tha ki hum wahan se bhi iman bacha ke le aae ab us ke hath mein hai faisla 'sharar-naqwi' ghazal ke sheron ko hum dil bana ke le aae