ajib rang ajab haal mein pade hue hain hum apne ahd ki patal mein pade hue hain sukhan-sarai koi sahl kaam thodi hai ye log kis liye janjal mein pade hue hain utha ke hath pe duniya ko dekh sakta hun sabhi nazare bas ek thaal mein pade hue hain jahan bhi chahun main manzar utha ke le jaun ki khwab dida-e-amwal mein pade hue hain main sham hote hi gardun pe dal aata hun sitare lipti hui shaal mein pade hue hain wo tu ki apne tain kar chuka hamein takmil ye hum ki fikr-e-khad-o-khal mein pade hue hain isi liye ye watan chhod kar nahin jate ki hum tasawwur-e-'iqbaal' mein pade hue hain sawab hi to nahin jin ka phal milega mujhe gunah bhi mere aamal mein pade hue hain tamam aks meri dastaras mein hain 'azar' ye aaine meri timsal mein pade hue hain