ajib rut hai darakhton ko be-zaban dekhun dayar-e-sham mein aahon ka main dhuan dekhun chahaar samt se aai thi barf ki aandhi kahin na phul na rangon ki titliyan dekhun yaqin un ko dilaun chamakte suraj ka hisar-e-shab mein jo sahme hue makan dekhun zamin ko tu ne daraya sada masaib se kabhi tujhe bhi hirasan ai aasman dekhun labon pe jis ke musalsal pukar pani ki usi ki aankh se dariya bhi ek rawan dekhun lahu-luhan to koi nazar nahin aata lahu mein dubi magar sab ki ungliyan dekhun hamare ahd ke logon ko kya hua 'fikri' sabhon mein bujhti hui aag ka saman dekhun