khumar-e-shab mein zamin ka chehra nikhar raha tha koi sitaron ki palki mein utar raha tha naha rahe the shajar kisi jhil ke kinare falak ke takhte pe chand baitha sanwar raha tha hawaen diwar-o-dar ke pichhe se jhankti thin dhuan lapete koi gali se guzar raha tha khada tha meri gali se bahar jahan sara main khwab mein apne aap se baat kar raha tha hawa ka jhonka udas kar ke chala gaya hai abhi abhi to main jam-e-ghaflat ko bhar raha tha aur ab thahar ja 'nawed' aage to kuchh nahin hai tu umr bhar is khayal se be-khabar raha tha