ajib sadi thi ki zer-o-zabar jahan hua

ajib sadi thi ki zer-o-zabar jahan hua
nazar ke samne manzar lahuluhan hua

bahut thin jis ki musafir-nawaziyan mashhur
wo mera shahr mere haq mein be-aman hua

har auj dekhte hi dekhte hui pasti
har ek zarra-e-nachiz aasman hua

jo chalte waqt tha pairon ke waste chattan
palatte waqt wahi rasta dhalan hua

tamam umr lutaya khulus-e-dil jis par
nasib hai ki wahi shakhs bad-guman hua

ajib ahd mein pai thi zindagi main ne
har ek zulm mere samne jawan hua

kiya gaya mujhe 'darwesh' is tarah taqsim
na ek jism hua phir na ek jaan hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close