bahar to KHush-gawar december ki dhup hai

bahar to khush-gawar december ki dhup hai
hum jis mein jal rahe hain wo andar ki dhup hai

kya dhup ke ghazab se daraoge tum mujhe
har chilchilati dhup mere ghar ki dhup hai

is se to zulf bhi na bacha paegi teri
ai mehrban ye mere muqaddar ki dhup hai

girti hai mujh pe aa ke kisi tegh ki tarah
khud ko bacha ke rakh ye mere sar ki dhup hai

teri hasin sham ko jhulsa na de kahin
mujh be-nawa ke sath jo din bhar ki dhup hai

mayus laut jaegi 'darwesh' ki tarah
kamre mein jhankti hui bahar ki dhup hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close