ajib saneha mujh par guzar gaya yaro main apne sae se kal raat dar gaya yaro har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundla har ek zakhm mere dil ka bhar gaya yaro bhatak rahi thi jo kashti wo gharq-e-ab hui chadha hua tha jo dariya utar gaya yaro wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use suna hai aaj koi shakhs mar gaya yaro main jis ko likhne ke arman mein jiya ab tak waraq waraq wo fasana bikhar gaya yaro