uthiye ki phir ye mauqa hathon se ja rahega ye karwan hai aakhir kab tak ruka rahega zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha hun ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin jo khul gaya to phir ye uqda khula rahega sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke is aag se ye jangal kab tak bacha rahega khulti nahin hai ya rab kyun nind raftagan ki kya hashr tak ye aalam soya pada rahega yaksar hamare bazu shal ho gae hain ya-rab aakhir daraaz kab tak dast-e-dua rahega