mangna kaam mujh sawali ka bakhshna teri zat-e-ali ka kyun giraya hai apni nazron se hukm kar de meri bahaali ka tu hi wo phul hai jo hai mahbub patte patte ka dali dali ka baat jo bhi kaho wo saf kaho kaam kiya fazl-e-ehtimali ka jal bujhunga bhadak ke dam bhar mein main hun goya diya diwali ka 'nadir' aisa kalam hai mera sad hai jis pe la-zawali ka