ajib shakhs hai patthar se par banata hai dayar-e-sang mein shisha ka ghar banata hai jo zakhm phul ki patti ka sah saka na kabhi us aabla ko wo apni sipar banata hai faza ka bojh samajhta hai chand suraj ko wo gardanon pe sajaane ko sar banata hai jahan se qafila-e-waqt rah bhula tha unhin sarabon mein wo rah-guzar banata hai tarashta hai jigar wo bhi aabginon se khazaf ko kasa-e-arz-e-hunar banata hai dil-o-nazar ke fusun us ko ras aa na sake wo aainon se guzarne ko dar banata hai ye kis se kahiye ki 'tanwir' khud salibon ko sukun-e-jaan ke liye ham-safar banata hai