ajib shakhs hun fart-e-wabaal hote hue firaq mang raha hun visal hote hue nidhaal apne tamashaiyon ke jhurmut mein main khud ko dekh raha hun khayal hote hue bas ek warzish-e-tahrir lauh-e-hasti par bas ek sawal ki dhun khud sawal hote hue kuchh is kamal se raunda gaya hun masti mein bahut sukun hai ab paemal hote hue sharar-e-sang ko kya ab bhi istiara kahun in aansuon ki ye zinda misal hote hue guzar gaya hun misal-e-zamana khud par se main lamha lamha alal-ittisal hote hue main apne aks ko 'asim' khuda samajh baitha khata hui thi ye mahw-e-jamal hote hue