dil tadapta hai ab tak mera aankh mein bhi nami rah gai wo to kab ke gae chhod kar yaad un ki basi rah gai rahmaton se bahut dur hai jis ko dekho wo maghrur hai ab kahan inkisari rahi aur kahan aajizi rah gai meri un ki hain rahen juda wo kahan aur main ab kahan un ko pane ki phir bhi magar aas dil ko lagi rah gai dil dhadakta hai un ke liye aankh roti hai un ke liye ab kahan apni ye zindagi dosto apni hi rah gai koi 'asim' kisi ka nahin sab ke sab hain yahan matlabi aaj zinda jahan mein kahan ghairat-e-admi rah gai