charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar hum ne aur us ke baad nikhaara rukh-e-sahar hum ne hamein shuur ne dhoke diye hain rah rah kar fareb khae hain danista beshtar hum ne sila khirad ka zamane mein jam-e-zahr sahi nikhaar di hai magar azmat-e-bashar hum ne nazar ho daulat-e-har-do-jahan pe kya mail samet li hai bahut daulat-e-nazar hum ne sada-e-pa ki suni baz-gasht hi har gam talash ki hai jahan teri rahguzar hum ne nigar-e-gul ne liya nam zer-e-lab tera udas chand ko dekha pas-e-shajar hum ne