ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the

ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the
nigah dekh rahi thi ki ghar kuchh aur se the

wo aashiyane nahin the jahan pe chidiyan thin
shajar kuchh aur se un par samar kuchh aur se the

tamam kashtiyan manjdhaar mein ghiri hui thin
har ek lahar mein bante bhanwar kuchh aur se the

bahut badal gaya maidan-e-jang ka naqsha
wo dhad kuchh aur se the un pe sar kuchh aur se the

mere halif mere sath the ladai mein
har ek shakhs ke tewar magar kuchh aur se the

kai padaw the manzil ki rah mein 'tabish'
mere nasib mein lekin safar kuchh aur se the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close