hum ne tanha-nashini kharidi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar shama mehrab-e-dil mein jalai to hai aarzuon ka apni kafan bech kar mutmain hain bahut aaj arbab-e-fan apna sarmaya-e-fikr-o-fan bech kar jaise aaina rakh de koi mah-wash halqa-e-zulf ka bankpan bech kar kho gaya dard hangama-e-shahr mein lut rahi hai dukan-e-mata-e-nazar ab bhi taufiq agar hai to ahl-e-junun badh ke le lo use jaan o tan bech kar rut badalti rahi rang udte rahe kam-nazar baghban kam-nazar hi rahe ek khayaban ko sairab karte rahe aabru-e-bahaar-e-chaman bech kar hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan mit raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech kar