hum ko tasir-e-gham se marna hai ab isi rang mein nikharna hai dil-e-muztar ka khun karna hai nala-e-gham mein dard bharna hai zindagi kya hai sabr karna hai khun ka ghunt pi ke marna hai jaan-nisari qubul ho ki na ho hum ko apni si kar guzarna hai husn ho ishq ho junun ho ki hosh sab se begana dil ko karna hai ab koi zahr de ki baada-e-nab ek paimana hum ko bharna hai dekh li hum ne ishq ki miras is se aage bhi ab guzarna hai mauj-e-dariya hain hum hamara kya kabhi mitna kabhi ubharna hai dhundhta phirta hun nigah-e-khulus dil-e-murda ko zinda karna hai samm-e-qatil 'jigar' nahin milta dil ka qissa tamam karna hai