ajib tarz-e-takallum se aazma ke mujhe

ajib tarz-e-takallum se aazma ke mujhe
wo chahta hai abhi dekhna jhuka ke mujhe

main der se hi sahi ghar pahunch gaya aakhir
wo mutmain tha naya rasta dikha ke mujhe

ek umr main ne jise ghaur se nahin dekha
rakha usi ne kadi dhup se bacha ke mujhe

main aaina hun ye us ko khabar na thi shayad
wo sharmsar hua raushni mein la ke mujhe

kabhi jahan pe hazaron charagh jalte the
mila sukun wahan ek diya jala ke mujhe

surur-e-sahn-e-chaman se sukut-e-dasht-e-talab
kahan se lain hawaen kahan uda ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close