haalanki main asir-e-azab-e-safar na tha

haalanki main asir-e-azab-e-safar na tha
ye aur baat hai ki mera koi ghar na tha

din raat bhagte hue lamhon ke darmiyan
main sochta tha koi mera ham-safar na tha

hum bahr-e-zindagi se jo chun chun ke lae the
khali sabhi sadaf the kisi mein guhar na tha

yun khak ud rahi hai nigahon ke samne
dasht-e-talab mein dur talak koi ghar na tha

barish ki sazishon mein hawa bhi sharik thi
lekin makin-e-shahr koi ba-khabar na tha

logon ne sangsar kiya is ke bawajud
wo mutmain tha us ka kaha be-asar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close