anjaane ek lafz zaban se nikal gaya

anjaane ek lafz zaban se nikal gaya
ab kya karen ki tir kaman se nikal gaya

us ka alag wajud hai us ka alag madar
tara jo qar-e-kahkashan se nikal gaya

jab tum nahin rahe mere khwab-o-khayal mein
main bhi tumhaare wahm-o-guman se nikal gaya

kyon dafatan zaman-o-makan sab bikhar gae
ye kaun aaj kaun-o-makan se nikal gaya

ai dam-o-dana ab to tumhein aa gaya qarar
ab main tumhaare bagh-e-jinan se nikal gaya

tha zakhm us pe aap wo marham laga gae
aur dard-e-rah aah-o-fughan se nikal gaya

mitti jo thi ki aab ko chhute hi gal gai
jazba jo tha ki aab-e-rawan se nikal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close