ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin jo yahan aabaad hain un par bhi ghar khulta nahin raste kab gard ho jate hain aur manzil sarab har musafir par tilism-e-rahguzar khulta nahin dekhne wale taghaful kar-farma hai abhi wo daricha khul gaya husn-e-nazar khulta nahin jaane kyun teri taraf se dil ko dhadka hi raha is takalluf se to koi nama-bar khulta nahin intizar aur dastakon ke darmiyan katti hai umr itni aasani se to bab-e-hunar khulta nahin hum bhi us ke sath gardish mein hain barson se 'salim' jo sitara sath rahta hai magar khulta nahin