ajnabiyyat ka har ek rukh pe nishan hai yaro apne hi shahar mein ghurbat ka saman hai yaro aasmanon mein lachakti hui ye qaus-e-quzah bhes badle hue rawan ki kaman hai yaro ek siyasat hai ki hai dair-o-haram ki mahbub ek mohabbat hai ki ruswa-e-jahan hai yaro ahl-e-dil rah gae aasar-e-qadima ho ke zindagi ek shikasta sa makan hai yaro dil hi shaista-e-gul-gasht nahin hai warna ye zamin aaj bhi firdaus-e-jawan hai yaro