ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr mein ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftar ka hazrat-e-adam se ta in dam hue sab ishq dost hai azal se daur daura husn ki sarkar ka hum jo mar kar ji uthe is par tajjub kya ki hai wo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka aap ke ghamze uthaun ghair ke tane sunun banda parwar main ne chhoda ishq bhi sarkar ka aablon ko sar uthane ki zara mohlat nahin hai karam sahra-nawardi mein ye nok-e-khar ka is se badh kar aap 'ahsan' chahte hain aur kya doston ki dad hai goya sila ashaar ka