kitne hi log dil talak aa kar guzar gae hum apni lash aap utha kar guzar gae wo yurish alam thi ki teri gali se hum tujh ko bhi apne ji se bhula kar guzar gae ahl-e-khirad fasanon ke unwan bane rahe ahl-e-junun fasane suna kar guzar gae is ehtiyat-e-dard ki wahshat ki hum kabhi khud ko teri nazar se chhupa kar guzar gae tu hi mila na hum hi mile apne aap ko sae se darmiyan mein aa kar guzar gae ab to batao hum ko kahan jaoge 'matin' wo kaun the jo aag laga kar guzar gae