apne honton se aazma ke to dekh mere ashaar gunguna ke to dekh dhadkanon ki zaban urdu hai mere dil mein kabhi sama ke to dekh lutf kya aata hai sambhalne mein mere sang tu bhi ladkhada ke to dekh kyun tera aks ban gaya hun main ru-ba-ru aaine ke aa ke to dekh kar ke dariya ko par meri tarah tu bhi kashti kabhi jala ke to dekh shahr se dur chal ke ganw mein ek chhota sa ghar basa ke to dekh