aks aaseb aaina jangal ibtida abr intiha jangal hai hawa hamd aur dua jangal aadmi khak hai khuda jangal kaun is ko jalane wala tha apni hi aag mein jala jangal bain barish ke naddiyan nale aur mausam ka marsiya jangal jugnuon ki zaban samjhen to sau kathaon ki ek katha jangal jaane kis ko sadaen deta hai bastiyon mein makan ka jangal khwab mein kyun dikhai dete hain bolte ped jagta jangal