ye aur baat shajar sar-nigun pada hua tha zamin se us ne magar rabta rakha hua tha wahin wahin se gawahi mili mere sach ki jahan jahan se mera pairahan phata hua tha mujhe kisi ka to hona tha haar jit ke baad mera wajud wahan daw par laga hua tha meri nigah mein thi surkh mahmalon ki qatar aur in mein ek kajawa bahut saja hua tha andhere noch rahe the jamal dharti ka meri zamin ka suraj kahin gaya hua tha mere huzur farishte jhukae ja rahe the mera khamir abhi chaak par rakha hua tha laraz rahe the kamanon mein tir dahshat se mere 'husain' ka 'asghar' kahan dara hua tha