talKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la

talkhi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
yani sharab la mere saqi sharab la

mit jaen jis se gardish-e-dauran ki talkhiyan
wo jam-e-khush-gawar mila kar gulab la

wo mai ki jis se har gham-o-andoh-o-yas ka
ho jae hashr tak ke liye sadd-e-bab la

pi kis qadar piyunga abhi kis qadar na puchh
de pahle is ka baad ko lena hisab la

kali ghata ki tujh ko qasam jaan-e-mai-kada
takhir kar na bahr-e-khuda la shitab la

wo dekh sar pe chadar-e-rahmat hai zau-fagan
chhai hai mai-kade pe rida-e-sahab la

raaz-e-hayat-o-maut ka uqda jo khol de
mil jae jis se khwab mein tabir khwab la

aisi na ho ki pi ke banun aur muttahim
baatil-shikan ho jo wo haqiqat-e-maab la

saqi gharaz ye tujh se guzarish hai 'barq' ki
aankhon se jo utha de dui ka hijab la


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close