aks-e-khayal-e-yar sanwara karenge hum shishe mein aaine ko utara karenge hum sahra mein e'timad ke gum-sum samaaten kuchh log kah rahe the pukara karenge hum gardan kati hai hath bhi shanon se kat gae qatil ki samt kaise ishaara karenge hum mere khilaf wo bhi samundar se mil gae dariya to kah rahe the kinara karenge hum chadar se jab na chhup saka sukda hua badan khul kar ab apne panw pasara karenge hum sanson ki tarah ye bhi hain jine ko lazmi choten jo dab chuki hain ubhaara karenge hum 'akhtar' hon jab sitare sabhi aasman par phir kyun kisi zamin pe guzara karenge hum