apne dil ko sambhaal sakta hun tujh ko hairat mein dal sakta hun waza-dari ka pas hai warna main bhi kichad uchhaal sakta hun kam na samjho ye aatish-e-dil hai main samundar ubaal sakta hun tod dun aahani usul apne phir main sikke bhi dhaal sakta hun jaane kyun hai yaqin qaza ko bhi main duaon se tal sakta hun main tujhe jaanta hun pichhe se teri pagdi uchhaal sakta hun koi patthar ho koi qatil ho sab ke aansu nikal sakta hun main ne paida nahin kiya lekin tere har gham ko pal sakta hun main jo 'akhtar' hun ek suraj hun chand apna ujal sakta hun