zindagi maut ke aaghosh se paida karna dub kar bahr mein tufan se khela karna aae rona bhi to hansne ka irada karna josh-e-gham mein na kabhi zabt se guzra karna dekhna shauq ki fitrat ko na ruswa karna chashm-e-mushtaq yunhi un ka nazara karna rang laega ajab jalwa-gah-e-mahshar mein zauq-e-didar mera aap ka parda karna mauj-e-fitrat ka har andaz hai takhrib-shiar ai chaman-zar bahaaron se na rishta karna bahut aasan tha rabbi-arini kah dena koi aasan na tha jalwon ka nazara karna chaak-damani-e-gul bar-sar-e-meraj-e-bahaar hai junun-khez ada hosh ka dawa karna sikhiye uqda-kushai ki adaen 'jumbish' na hua kuchh bhi ye taqdir ka shikwa karna