dil ki bisat kya thi jo sarf-e-fughan raha ghar mein zara si aag ka kitna dhuan raha shab bhar khayal-e-gesu-e-ambar-fishan raha mahka hua shamim se sara makan raha kya kya na kawishon pe meri aasman raha bijli girai mujh pe na jab aashiyan raha mahshar bhi koi dard hai jo uth ke rah gaya shikwa bhi koi gham hai jo dil mein nihan raha khurshid aasman pe raha tu zamin pe hai mizan-e-husn mein tera palla giran raha jine mein kya maza jo nahin maut ka yaqin marne mein lutf kya hai jo wo bad-guman raha kasrat hijab-e-dida-e-arif kabhi nahin zarron mein ek mehr ka jalwa ayan raha bimar-e-hijr maut se uth kar lipat gaya wade pe aaya jab koi tera guman raha dil bhi gaya jigar bhi gaya jaan bhi gai main phir bhi dekhta hi teri shokhiyan raha ai 'shola' kya tabiat-e-nazuk pe zor dun qadr-e-sukhan rahi na koi qadr-dan raha