takhir thi chaman mein faqat tere pair ki khushbu ne saaton mein zamanon ki sair ki bheja gaya hai jalte hue shahr mein mujhe aur hukm hai ki laun khabar koi khair ki qudrat sukhan-sarai pe kaisi ki hum ne to ye chah kar na ki kabhi chahe baghair ki aankhon mein tab se gad gae be-khwabiyon ke tir jab se fasil tut gai shab-ba-khair ki kyon rang nila pad gaya sun kar ye aap se kyon zahr lag gai mujhe tarif ghair ki ek dastan-e-talkh ba-pairaya-e-latif ai sahiban-e-sher ghazal hai 'zubair' ki