aks-e-zanjir pe jaan dene ke pahlu dunga

aks-e-zanjir pe jaan dene ke pahlu dunga
kuchh saza tujh ko bhi ai shahid-e-gesu dunga

apne ghar se tujhe jaane nahin dunga khali
mujh ko hire nahin hasil hain to jugnu dunga

zindagi tujh se ye samjhauta kiya hai main ne
bediyan tu mujhe de main tujhe ghunghru dunga

mujh ko duniya ki tijarat mein yahi hath aaya
main ne aansu hi kamae tujhe aansu dunga

main hun dariya mujhe khidmat mein lage rahna hai
main agar sukh bhi jaunga to baalu dunga

main to ek ped hun chandan ka mujhe jism na jaan
tu mujhe qatl bhi kar dega to khushbu dunga

pahle kuchh bant usulon ke bana lo 'tasnim'
jis mein kirdar tulen main wo taraazu dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close