naqsh jab zakhm bana zakhm bhi nasur hua ja ke tab koi masihai pe majbur hua par parwaz bhi tab tak na khule the jab tak baith jaane ki thakan se na badan chur hua din ki chhalni mein tera lamha-e-fursat chhane dil to lagta hai isi kaam pe mamur hua daman-e-dost hai ek zehn ke pardon mein kahin jis qadar hath badhaya hai so wo dur hua kabhi be-samt na hone ki dua mangi thi kasrat-e-samt se rasta mera mamur hua chikhna chahti hun chikh nahin pati hun khwab hota tha haqiqat ko bhi manzur hua