maujudgi ka uski asar hone laga hai

maujudgi ka us ki asar hone laga hai
sab us ke siwa mahw-e-nazar hone laga hai

atraf mere khak uda karti hai aksar
tai ab meri jaanib bhi safar hone laga hai

purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani
ab mujh se bhi khali mera ghar hone laga hai

jaldi se main ab us ki taraf rukh nahin karta
aaina mera sina-sipar hone laga hai

tartib anasir ki bigadne lagi shayad
aalam mera ab zer-o-zabar hone laga hai

ab sang-dili mujh se chhupae nahin chhupti
aankhon se numudar sharar hone laga hai

arsa koi darkar hua karta tha 'rahi'
ab roz koi marka sar hone laga hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close