aks ja-ba-ja apni zat ke giraata hai kaun aasmanon se aaine giraata hai main ne rup dhaara hai us ki ruh ka aur wo mere naqsh hi mere samne giraata hai umr bhar uthaega dukh mere bikharne ka aankh ki bulandi se kyun mujhe giraata hai shoala-e-mohabbat aur aab-e-ashk ai nadan raushni ko dariya mein kis liye giraata hai wo hawa ka jhonka bhi mera sakht dushman hai shakh se jo patte ko zor se giraata hai jazb kar na le 'jafar' soch lahr ki tujh ko tu kahan samundar mein kankare giraata hai