bina matlab ki wahshat ho rahi hai koi haalat mein haalat ho rahi hai ghamon ka is qadar aadi hua hun ki ab khushiyon se dahshat ho rahi hai zehn pe dhul jamti ja rahi hai adakari musallat ho rahi hai tujhe wahshat mein gali bak raha hun phir is haalat pe hairat ho rahi hai tere ehsas pagal ho gae hain sarabon se shikayat ho rahi hai guzari ja rahi hai zindagi yun kisi bewa ki iddat ho rahi hai nigah-e-khushk se rona padega yahan pani ki qillat ho rahi hai khushi wali ragen sakin hain kab se dukhon wali mein harakat ho rahi hai bhale shair sukhan na kar sakenge ghaliz-o-bad nizamat ho rahi hai mere andar jo ek pagal hai 'shaariq' usi ki hai jo himmat ho rahi hai