alam ki baat se aazar-e-jaan se kuchh nahin hota wo aalam hai ki ehsas-e-ziyan se kuchh nahin hota waqar-e-gulsitan ki pasdari baat hai warna chaman ke nam par husn-e-bayan se kuchh nahin hota amal ki quwwat-e-taskhir se duniya badalti hai shikayat-ha-e-jaur-e-asman se kuchh nahin hota yaqin mohkam agar ho gardish-e-dauran badal dale guman kitna hi badh jae guman se kuchh nahin hota nazar sayyaad ke haalat par rakhna zaruri hai faqat tazin-e-shakh-e-ashiyan se kuchh nahin hota jahan haalat par tanqid hi karna zaruri ho wahan ranai-e-husn-e-bayan se kuchh nahin hota jahan dar-o-rasan ki baat mauzu-e-sukhan thahre wahan ulfat ki rangin dastan se kuchh nahin hota wahan aksar kalam-e-narm-o-shirin khub hota hai ki aksar jis jagah tegh-o-sinan se kuchh nahin hota ba-nam-e-ishq jazb-e-jaan-faroshi ki zarurat hai musalsal sajda-ha-e-astan se kuchh nahin hota mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par ki jab taskin-e-dil aaram-e-jaan se kuchh nahin hota kisi bhi taur ab taskin ki surat nahin banti kisi bhi mehrban na-mehrban se kuchh nahin hota nasheman phunk hi dala 'qamar' jab apne hathon se ab aati hai to ab barq-e-tapan se kuchh nahin hota