bosa us but ki jabin ka liya chandan ho kar hua ham-dosh main zunnar-e-barahman ho kar barsa karte hain judai mein teri barson tak abr-e-dida kabhi bhadon kabhi sawan ho kar gora rukh bose se nila hua aur ghaiz se surkh nastaran ban gaya lala gul-e-sausan ho kar dastaras pa na saka jab kabhi dhab se haihat pahuncha dil said-e-mahbub mein kangan ho kar dosti ki dil-e-hamdard ne bedard se aah dushmani dost ne ki 'mushtari' dushman ho kar