alam ko apne ba-waqar karo jahilon mein mera shumar karo dost sab kaam kar chuke apna sochte kya ho tum bhi war karo fan kise chahiye so aise mein bas tarannum ka karobar karo pagdi aai to sar bhi aaega aur kuchh der intizar karo din mein ta'biren tutti dekho raat bhar khwab ka shikar karo bojh hai sar bhi jin ke kandhon par aise logon se khub pyar karo tair kar log dub jate hain dub kar aaj dariya par karo kaun 'farhat' wo haq-nawa 'farhat' be-takalluf use shikar karo