apni har haar pe ek jashn manate rahiye

apni har haar pe ek jashn manate rahiye
zindagi bojh sahi bojh uthate rahiye

koi aane ke liye koi to ho andar bhi
falsafe chhodiye zanjir hilate rahiye

rah chalne ke liye panw zaruri to nahin
sar nahin na sahi dastar sajate rahiye

kya zaruri hai ki har kaam saliqe se ho
jazbe thande sahi cigarette jalate rahiye

koshish-e-rukniyat-e-urdu-academy na sahi
kam se kam sheri pulande to chhapate rahiye

aagahi jurm hai be-sud hai bedari 'wasim'
aap bhi soiye auron ko sulate rahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close