fasl-e-nai hai sakht joban par nazar ke samne phir salib ugne lagi diwar-o-dar ke samne der tak main ne nahin dekhi parindon ki udan der tak baitha tha koi mere ghar ke samne waqt marham hai magar marham ka bhi ek waqt hai ro pada hun ek purane ham-safar ke samne bari bari apni mitti gundh kar sab chal pade dhul udti ja rahi hai kuza-gar ke samne unchi shakhon par phalon ka ek hi nuqsan hai pattharon ke dher lagte hain shajar ke samne