alfaz guftugu ke liye ab nahin rahe mahsus ho raha hai mere lab nahin rahe mana ki fasle hain bahut phir bhi ye bata hum tere sath sath bhala kab nahin rahe kuchh der guftugu mein to shaista wo raha phir yun hua ki hum bhi mohazzab nahin rahe teshe se koi dudh ki nahren nikal de hathon mein ab wo ishq ke kartab nahin rahe hathon ko us ki fath ki khatir utha diya dekha ki us ke tir-o-kaman jab nahin rahe