kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha

kabhi yaad-e-khuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baitha
ab aakhir-e-umr mein aa ke khula na thi ye sachchi na tha wo sachcha

kabhi khwahish-e-duniya le dubi kabhi khauf-e-khuda ne tang kiya
ab aa kar bhed khula hum par na thi ye achchhi na tha wo achchha

sar par gathri angaron ki aur khwahish par utarne ki
aage barik sa nazuk pul aur niche aag ka ek dariya

kuchh uqde aise hote hain jo na hi khulen to behtar hai
kuchh baaten aisi hoti hain jinhen dil mein chhupa lena achchha

wo mirza agle waqton ka wo saheban guzre waqton ki
jo karna tha wo kar guzre jo kahna tha wo kah dekha

ajdad kahin tum hal dalo aur fasl ugao karmon ki
pichhe tarikh ka hanka hai aur aage bail dara sahma


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close