burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai

burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai
wo khamoshi ki jo sad maujib-e-izhaar bhi hai

chhodiye un ke shab-o-roz ki rudad-e-zubun
aap ko khak-nashinon se sarokar bhi hai

maslahat mujh ko bhi malhuz hai ai ham-sukhano
par mere pesh-e-nazar waqt ki raftar bhi hai

maut ke khauf se har sans ruki jati hai
zindagi aaj koi tera kharidar bhi hai

talkhi-e-haal ko hai ishrat-e-farda ka fareb
dil junun-kosh hai aur aql trahdar bhi hai

mere mahbub mujhe waqf-e-taghaful na samajh
zist ke lakh taqaze hain tera pyar bhi hai

ahal-e-guftar ki to bhid lagi hai 'akhtar'
dekhna in mein koi sahab-e-kirdar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close