mujhe ba-faiz-e-tafakkur hua hai ye idrak chamak uthunga kisi roz main sar-e-aflak kis auj-mauj mein mujh par khula hai ye ahwal zamin se ta-ba-falak ud rahi hai meri khak ajab nahin ki naya aaftab ubharne tak khala ke hath pe gardan rahe zamin ka chaak yaqin bhi tha use hijr ka magar phir bhi saba ke pahlu se lipti bahut chaman ki khak ye khak hi meri zanjir ban gai warna meri nigah mein jachti nahin koi poshak