allah-re faiz ek jahan mustafid hai har mast mere pir-e-mughan ka murid hai waiz abas ye zikr-e-azab-e-shadid hai ek tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai wahshat ne hum ko jama-e-khaki pahna diya ai aql ab ye kahe ki qat-o-burid hai ai rah-rawan-e-jada-e-ulfat badhe chalo ye kis ne kah diya hai ki manzil baid hai kyunkar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai ab jam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi wo dil mila hai jis mein do-alam ki did hai wallail hai ki zulf-e-moambar huzur ki ye ru-e-pak hai ki kalam-e-majid hai halki si ek kharash hai qasid ke halq par ye khat jawab-e-khat hai ki khat ki rasid hai khanjar-ba-kaf wo kahte hain ab aae samne kis ko khayal-e-wasl hai arman-e-did hai mujh khasta-e-dil ki id ka kya puchhna huzur jin ke gale se aap mile un ki id hai to dekhe aur bande pe tere azab ho ya-rab ye teri shan-e-karam se baid hai shishe ka mo'taqid hai iradat hai jam se kis pir-e-mai-farosh ka 'bedam' murid hai